Saturday 12 April 2014

Namaz Ko (Ba Jamaat) Choor Dene Ka Biyan.

Hazrat Abu Huraira (R.A) se rewayat hai ke Sarware Qunaaain (S.A.W) ne farmaya qasam hai us zaat ki jis ke qabze main meri jaan hai mene irada kya ke (Kisi khadim ko) lakriyaan jama karne ka hukum doon aur jab lakriyaan jama hu jaeen to (Isha ki namaz) ke lye azaan kehne ka hukum doon aur azaan jab hu jaee to logo ko namaz parhane ke lye kisi shakhs ko mamoor (Muqarrar) karun aur phir main un logo ki taraf jaun (Ju baghair kisi mathlab ke namaz ke lye jamat main shamil nahin hute aur phir unhain achanak se pakrun).


Ek riwayat ke ye alfaaz hain (Ke ap (S.A.W) ne farmaya un logo ki taraf jaun ju namaz main hazir nahin hute aur 'unke gharon ko jala doon'.Hazrat Ibne Abas (R.A) se rawi hai ke Sarware Qunaain (S.A.W) ne farmaya ju shakhs azaan kehne wale (Yani Muazzan) ki azaan sune aur muazzan ki tabedari (Yani masjid phonch kar jamat main shareek hune) se use koi uzur na roke. Logo ne pocha uzur kya hai? Farmaya ke dushman se darna, bemari, to us ki namaz ju baghair jamaat (Agerche masjid main hi parhe) jamaat ke sath qabool nahin ki jati. (Abu Dawood, Dar Qatni) yani us ko jamaat se parhne ka sawaab nahin milta.


Hazrat Abu Huraira (R.A) se rawi hai ke Sarware Qunaain (S.A.W) ne farmaya ke ager ghar main aurtain aur bache na hute to main Isha ki namaz qaim kar ke khadmoon ko hukum deta ke (Ju log namaz main hazir nahin huwe unke) ghar baar aag main jala dye jain. (Ahmed) 


Gharz namaz ke lye jamaat mukammal hai aur is main shirkat wajib hai isi lye bila uzur sharyi is ko tark (Qaim na karna) dusrust nahin hai, is se namaz kamil nahin huti.Khud bhi is cheez ka dehaan rakhiye aur dusrun ko bhi bataiye...(Jazak Allahu Khaira)


Allah Pak Hamain Ba Jamaat Namaz Ada Karne Ki Taufeeq Ata Farmai (Ameen Ya Rabba)


Read more ...

Tuesday 4 February 2014

Dil Ka Sakoon Allah Pak Ki Yaad Main



Beshak Dilon Ko Aaitminaan Khuda Ki Yad Se Milta Hai.


Allhamdulillah Allah pak ke fazlo karam se hum sab Musalman hain
isi trhan hum per farz hai ke hum apne deen ke bary main ache se jane aur isy samjhen.


Aaj ka musalman Allah pak ko sirf musibat ke waqt yad karta hai, bus yehi chahta hai ke main aapne maqsad main kamiyaab hu jaun, woh yeh nahin janta ke woh hasti us se kitna piyaar karti hai ke ju ussy kabhi khali hath wapis nahin karti, lekin phr us bad bakht shakhs ki soch ko dekhiye phr kabhi woh us ke dar par nahin ata, na ussy yad karta hai aur na hi us ke ahkamat ko pora karta hai.


Ye sab hum apni mamolaat e zindagi main kar rahe hain zara apne garebaan khool kar dekhiye aur sochiye kitne mukhlis hain hum deen e haq ke raste main aapne apke sath, kitne farz ahkamat ko pora karte hain,  kitna apne rab ko yad karte hain, kitna gunahun se bachte hain, kitna aapne rab ki raah main kharch karte hain.
Jab ke dunya ke har ek faraiz ko pora karte hain, dunya  ki khubsurti se be inteha lagan hain hamain, be had maal kharch karte hain us per ke ju hamain azeez hu.


Quran e Majeed main Irshad huta hai:
“Say, ‘If your love Allah, follow me; Allah will love you…’” (Q 3:31) 


Hamesha aapne rab ko yad karte raha karu, yaqeen janu dil ka sakoon tumhain kahin nahin mile ga ke jitni mukhlasi se agr tum Allah pak ko yad kar ke hasil kar skty hu. Buht se asaiyshain hain dunya main aram araish ke lye lekin agr tumhare dil main khuda nahin to tumhare dil main sakoon nahin, jahan bhi jau gy hamesha bechain rahu gy, preshan rahu gy, aur tumhara dil udaas sa rahe ga.


Bus Hamesha faraiz ko ache se pora kijye, har namaz ke bad tasbeeh ka ahtimaam kijye, kyun ke zikro azkaar Allah pak ke ghusse ko thanda karta hai, subah wa shaam ka mamool bana lain Insh Allah aap buht behter mahssos karen gy is amal se.


Dua farmain Allah pak hamain aapni yad main mashgool karde aur hamain pakka aur sucha musalman banai (Ameen)


Shabby !


Read more ...

Saturday 1 February 2014

Quran e Majid Per Abooriyat



Jis qadar insaan ka zooq wajdaan aur aikhlaaq wa rohaniyat taraqqi karte chale jain gy, isi qadar is per Quran ke matalib aashkaar hute chale jain gy.


Jitni zada Allah pak ki raah main ibadat ki khushnudi hu gi aur Allah pak ki ibadat karne main ek sachi kefiyat se tari hu gi dil ko rahat aur ibadat karne main sakoon ai ga to yaqeen janu Quran e pak main likhi huwi har ek cheez tum per khulti chali jai gi. Tum Quran e majeed ki taleemat ko samajhne lagu gy,
samjhu gy ke Allah pak hum se kis trhan mukhatib hai?
aur kya farma raha hai hum se?
Woh kya chahta hai hum se? 


Is per abooriyat hasil karne ke bad tum zameen aur aasman ki haqiqat bhi jan saku gy.
Dunya wa akhirat dunun ke darmiyaan ki suchai ko ache se samajhne lagu gy.
Allah pak ne quran e majid main buht si cheezun ka ziker kya hai, har ek bemari ka ilaaj hai is kitaab main, tamaam makhloqat ko biyaan kya gya hai, siyasi peesh raft ek Islami toor tariqe se darj zeel hai.


Allah pak hum se mukhatib hain aur bata rahe hain tumhari pass 2 raste hain ek ye rasta jahan tumhain bheja gya hai aur ek woh rasta k jis raste per tum ne mere pass ana hai. 


Hamain chaiye ke hum is jahan main us ke hu jain us ki taleemat ko pora kar ke woh hamain apne jahan main apna bana le ga. Wohi hamari asal zindai hai ke jis main humain zindagi ka asal maqsad nazar aye ga.


Allah Pak hamain sahi manun main apna banda banai aur apni ibadat main dil lagai, Quran e majeed per aboor hasil farmai (Ameen)


Shabby !

Read more ...

Wednesday 29 January 2014

Allah Pak Ki Khushnudi


Hidayaat Allah Ko Razi Rakhne Ke Lye :-


Apni Behtari Ka Khayal Na Karu Balke Khuda Ki Khushnudi Ko Afzal Samjhu.


Aagr tum khuda ke ahkamat ko pora karu ge yaqeen janu tum apne  har kaam main kamiyaab khud ba khud hu gi, bus tumhare ko ache aur bure ko janchna hai.
Zindagi ki buht si khuwaishaat hain ju aap hasil karna chahte hain, khuwaishaat ko hasil karne main aap apni behtari chahte hu jis ko hasil karne ke lye aap Rabul Alameen ko naraz kardete hu, aur samjhte hu main kamiyaab hu jaun ga apne maqsad main lekin aisa nahin hai, agr aap kamiyab hu bhi jain gy to Allah pak apko moqa dyn gy such aur bure ko samjhne ka.


Aisi cheez ka kya faide ke ju us malik ko naraz kar ke hasil ki jai? hum aksar ye ghalti kar jaty hain aur hamesha apne lye behter se behter sochte hain jabke kaha gya hai har ek cheez main khuda ki khushnudi ko ahmiyat do mathlab ke woh karu ke jis se tumhara Allah tum se khush hu, jab woh khush rahe ga to tum dunya main kahin bhi kisi jga bhi kisi bhi kaam main nakaam kabhi nahin hu ge,
Kamiyabiyaan tumhare qadam chumain gy aur tum hamesha zindagi ko sakoon se guzaru gy.


Zindagi ka maqsad apne rab ki raza mandi main rakhu yaqeen janun dunya wa akhirat dunya main tumhari madad ki jai gi, dunya main tumhari ghaib se madad ki jai gi jis ka ilm is dunya ki kisi makhlooq ko nahin.

Beshak Allah qadre mutliq hai..


Allah pak hamain apni khushnudi se nawazai aur hamain amal karne ki taufeeq ata farmai (Ameen)


Shabby !


Read more ...

Tuesday 28 January 2014

Darood e Pak Ki Fazliyat


Darood Shareef Ke Faide !


1) Iske Parhne Walon Per Allah Pak Apni Rehmat Nazil Farmaty Hain.


2) Us Bande Per 2 Hazaar Martaba Apna Salam Bhejta Hai.


3) 5 Hazaar Nekiyaan Us Ke Namaiye Amaal Main Likhe Di Jati Hain.


4) Us Ke 5 Hazaar Gunaah Muaaf Kardiye Jaty Hain.


5) Uski Peeshani Per Likhe Dya Jata Hai K Ye Shakhs Duzakh Ki Aag Se Azaad Hai.


6) Us Ko Qayamat K Din Shahidun Ka Muqaam Hasil Hu Ga.


7) Qabru Hashar Main Panah Main Rahe Ga.


8) Uska Khatma Deen E Emaan Per Hu Ga.


9) Huzur Pak (S.A.W) Qayamat K Din Us Ke Gawah Hun Gy.


10) Qayamat Main Us Ke Lye Noor Hu Ga.


Isi Lye Zada Se Zada Darood Shareef Bheja Karen Apne Nabi Pak (S.A.W) Aur Jitna Zada Ajr e Azeem Hasil Kar Skty Hain Karen.
Beshak Allah K Nazdeek Darood Pak Parhne Walon K Lye Buht Bara Muqaam Hai.


Shabby !


Read more ...

Monday 27 January 2014

Happy Muslim Couple


Follow these things which is precious for your married life !


Remember, you are your wife’s only boyfriend, and her only best friend. She does not go out seeking boyfriends and she shares a halal relationship with you.


Love her unconditionally for the sake of Allah. And express your love to her. A woman likes to be told that she is loved.Call her from your work to make sure she is doing fine. These things are very important in a relationship.


sister,With your beauty, you are better than the sun; with your morals you are more sublime than musk, with your modesty you are nobler than the full moon; with your compassion you a more beneficial than rain.


So, preserve your beauty with faith, your tranquillity with contentment, your chastity with hijab. Remember that your adornment is not gold, silver or diamond, rather, it is two rak’ahs at Fajr going thirsty when you fast for Allah, concealed charity which no one knows except Him, hot tears that wash away sin, a lengthy prostration born of utter submission to Allah, shyness before Allah when the inclination to do evil overwhelms you. 


Cloth yourself with the garments of taqwa (piety) for you are the most beautiful woman in the world, even if your clothes are shabby. Clothe yourself with cloak of modesty, for you are the most beautiful woman in the world even if you are barefoot.


Shabby !

Read more ...

Saturday 25 January 2014

Quran e Majid Ke Haqooq

Mundarja Zeel Haqooq Ye Hain...!!

1) Is Per Emaan Laya Jaye.
2) Is Ki Tilawat Ki Jaye.
3) Is Ko Samjha Jaye.
4) Is Per Amal Kya Jaye.
5) Isy Dusrun Tk Pohnchaya Jaye.


Hum sab jante hain Quran e Majeed dunya ki sab se afzaal tareen kitaab hai, ye woh kitaab hai jis ki gawahi har ek ne di hai, aur ye woh kitaab hai k jis ke zariye buht se masle masails ko door kya jata hai aur is ko parhna gheer Muslims bhi pasand karty hain aur is kitaab se faide uthaty hain.
Dunya jahan ki cheezain is main mujood hain, jin se buht se faide uthai ja raha he.

Ye Allah pak ki kitaab hai ju sirf Hamare Nabi Pak (S.A.W) per nazil huwi, to dekhiye Ummat e Muslimah kitni khush naseeb Ummat he. Allah pak is kitaab ki hifazat karne wale hain, jis ko qayamat ane se pehle is dunya se utha lya jai ga (Subhan Allah).


Hamain chaiye ke hum bhi isy apni zindagi ke mamulaat main shamil karen aur khushi se is ko ahmiyat dain.

Allah pak hamain quran majeed ko parhne, samajhne aur is per amal karne ki taufeeq ata farmain (Ameen)


Shabby !

Read more ...