Wednesday, 26 June 2013

Latest Best Mosque Pictures
















Read more ...

Tuesday, 25 June 2013

Rozay Ki Niyyat Ka Biyan



Roze Ki Niyyat Ka Biyan

Sawal: Kya rozy ke lye niyyat karna zaruri he?
Jawab: Ji rozy ke lye niyyat karna lazmi he. Agr subah sadiq se le kr suraj doobny tk khany peeny ke cheezun se bacha rha lekin roze ke niyyat nhi the to roza nhi hu ga.

Sawal: Niyyat kis waqt karny chaiyye?
Jawab: Ramzan shareeef, nazr-e-muhayyan, sunnat ur nafil rozon ki niyyat raaat se karain ya suah ko adhe din se pehly pehly jaiz he. Din se murad shary din he ju subah sadiq se ghroob aftab tk ka naam he. maslan agr subah 4 bajy subah sadiq hu ur 6 bajy ghroob aftab hu to shary din 14 ghanty ka huwa ur adha din 11 bajy ka huwa to 11 bajy se pehly pehly niyyat karlena zaruri he.
ur Qazai ramzan ur nazr-e-muhayyan ke niyyat subah sadiq se pehly karlena zaruri he.

Sawal: Niyyat kis trha karny chaiyye?
Jawab: Ramzan shareef, nazr-e-muhayyan, sunnat ur nafil rozon ke niyyat me to chahy khas un rozon ka qasad kary ya sirf ye irada karly ke roza rakhta hun ya nafil roze ke niyyat kary. Har surat ramzan me ramzan ka roza ur nazr-e-muhayyan ke din nazr ka roza ur baqi dinu main sunnat ya nafil ka roza hu jai ga, nazr-e-gheer muhayyan ur kuffarun ka ur qazai ramzan ke niyyat main khas un rozon ka qasad karna zaruri he.

Sawal: Niyyat zuban se karna zaruri he ya nahin?
Jawab: Niyyat qasad ur irada karny ko khty hain. Dil se irada karlena kafy he, zuban se khe dy to behter he na khny me koi masla nahin.















Read more ...

Monday, 24 June 2013

Namaz e Taraweeh Ka Pora Biyan


Namaz-e-taraweeh ka pora biyan

Sawal: Namaz-e-taraweeh sunnat he ya nafil?
Jawab: Namaz-e-taraweeh mardu ur ourat dunu ke lye sunnat-e-muakkida he ur jamaat ke sath parna sunnat-e-kafaya he yani agr muhally ke masjid me namaz-e-taraweeh jamaat se parhy jai ur koi shakhs ghr me akela parh le to gunahgar nhi hu ga lekin agr tamam muhally waly jamaat se na parhy to sab gunahgar hun ge.

Sawal: Namaz-e-taraweeh ka waqt kya he?
Jawab: Namaz-e-taraweeh ka waqt namaz-e-isha se namaz-e-fajar tk he, namaz-e-witr se pehly ur bad me bhe is ka waqt he, lekin namaz-e-taraweeh ke namaz witr se pehly parhny chaiyye. Hmm agr kisi shakhs ke taraweeh ke kuch rakaty reh gye hu ur imam witr parhny lagy to ye shakhs imam ke sath witr me shamil hu jai ur witr ke bad apne bqya taraweeh ke rakat pore karly to jaiz he.

Sawal: Namaz taraweeh ke rakaty, inke tadad ur kefiyat kitne he?
Jawab: 20 rakaty 10 salamu ke sath masnoon hain, yani 2 rakatu ke niyyat kare ur har 4 rakat ke bad thore deer aram karlena mustahib he.

Sawal: Jitne deer aram karna he to khamosh rahain ya kuch pah lain?
Jawab: Ikhtiyar he yani marzi he khamosh rahain ya ahista ahista quran majeed parh le tasbeeh parh le ya akely akely namaz-e-nafil parh lain

Sawal: Namaz-e-taraweeh me quran majeed khattam karna kesa he?
Jawab: Pore mahine me 1 martaba quran majeed khattam karna sunnat he ur 2 martaba khattam karna afzal he ur 3 martaba khattam karna is se zada afzal he. Lekin 2 ur 3 martaba khattam karny ke fazliyat us waqt he sunny walo ko sunny me koi dushwary ka samna na karna pare, Hmm 1 martaba khattam karny me logo ke susty ka lehaz na kya jai.

Sawal: Namaz-e-taraweeh beth kar parhna kesa he?
Jawab: Agr koi insan khary hony ke taqat rakhty huwe bhe beth kar namaz-e-taraweeh parhta he to ye makruh he, hm agr koi uzr he to phr parh skta he beth kar.

Sawal: Shuru rakat se namaz-e-taraweeh me shamil hona chaiyye?
Jawab: Shuru rakat se shamil hona chaiyye, bech me shamil hona makrooh he.

Sawal: Agr koi farz namaz ke jamat se reh gya he to pehly woh farz namaz parh kr jamaat me shamil ho skta he?
Jawab: Jaiz he, pehly woh farz namaz parh le us ke bad taraweeh ke jamaat me shamil hu jai.

Read more ...

Saturday, 22 June 2013

Roze Ke Massail (Roza Kisy Khtay, Roze Ki Niyyat)

Rozay ke masail

Roza kisy kehty he:

Shareeyat me jab se fajar ke namaz ka waqt ata he is waqt se suraj dubny tk roze ke niyyat se sb khana pena ur jaiz khowaishat chor deny ka naam roza he.

Note: Sehri wa aftari ke auqaat ke auqaat ke bary me ajkl ju mukhtalif companies apne mashory ke lye sehry wa aftari ke card chappwaty he un pr ahtimad na kya jai kyun ke woh aksr ghalat hoty he isi trha hr azaan ur ailanat ka bhe dehan rakha jai.

Roze Ke Niyyat Ka Matlab:

Niyyat ka zoban se khna to bhtr he mgr zarori nhi dil me irada hu to kafi he ur sehri khana waghera niyyat he khlata he.

Rat Se Niyyat Kanry Ka Masla:

Niyyat agr subah sadiq se pehly na ke ur subah hu gye mgr kuch khaya peya nhi to bhe shary din ka adha hissa guzarny se pehly niyyat karlyne se roza durust hu jai ga ur woh is trha pta chale ga ke pehly ye dekhe lya jai ke subah sadiq kitne baje huwe he ur ghoroob kitne bajy huta he. Inke darmiyan ke ghanto ko shameel karke iska adha le lya jai woh sharhy adha din he ju (zawal se sawa ya deedh ghanty) pehly huta he. Is se pehly pehly niyyat kar skty he.

Rozay Ki Rooh Ur Haqiqat:

Roze ke rooh ur haqiqat ye he ke ankh, kaan, zuban ur pore jism ko haram batu ur kamu se mehfooz rakha jai, apne apko halal se bachai ur haram se na bachai to ye kesa roza huwa. To is bat ka lazmi khayal rkha jai.























Read more ...

Friday, 21 June 2013

Namaz Kya He? 5 waqt Ke Namazain Ur Unke Timing

Namaz kya he?

Namaz aik ibadat ka naam he ju Allah pak ke taraf se Nabi pak Sallahu Alai He Wasalim ke zariyye hm per nazil ke gye he, aise to buht se namaze mujood he ibadat ke lye mgr Allah tallah ke traf se 5 namazain is ummat per farz ke gye he


5 Waqt Ke Namazain


1) Fajar (Subah surah nikly tb)
Fajar ke pore 4 rakat hoty he jis me 2 rakat sunnat ur 2 rakat farz ada kye jaty he. 2 sunnat 2 farz se pehly ada ke jaty he. Agr sunnat rhe jai to ap suraj nikalny ke bad bhe parh skty hu.

2) Zuhar (Jab suraj pore abu tab se nikal jai us k bad ke)
Zuhar ke pore 12 rakat hoty he, pehly 4 sunnat phr 4 farz phr 2 sunnat phr 2 nafil

3) Asar (Sham ke waqt yani suraj doobny se aik dedh ghanty pehly)
Asar ke pore 8 rakat hoty he 4 rakat sunnat phr 4 rakat farz, wese aksr 4 rakat farz he parhy jaty hain.

4) Maghib (Suraj doobny se 10 se 15 minute pehly)
Maghrib ke pore 5 rakat hoty he, pehly 3 farz phr 2 sunnat.

5) Isha (Surag doobny ke aik dedh ghanty bad)
Isha ke pore 17 rakat hoty he mgr zada ter tarjeeh 9 ko de jaty he jis me 4 rakat farz pehly phr 2 sunnat ur phr 3 weyter.

Read more ...

Wednesday, 12 June 2013

Deen Ke Teen Raggy


Hazrat Abdullah bin Masood (R.A) farmaty he ke: Dil ke 3 ragy hoty he: Agr apne emaan ka pta lagana he ke mera dil zinda he ya nhi to ap in cheezu ka pta lagau.

1) Quran pak khool kar parhu, dekhu dil lag rha he ya nhi?

2) Us mehfil me bethu jha Allah ka zikr hu rha hu, dekhu dil laga he ya nhi?

3) Tanhai me beth kar dekhu kya tumhari tanhai pak saaf he? ur khuda bhe yad ata he ke nhi?

 

Agr Jawab "ji" me he to phr tumhara dil zinda he, ur agr jawab "nhi" me ata he to daru us rab se ur maafy mangu ur dua karu ke Allah pak tum pr apna karam farmaye
Read more ...

Sunday, 9 June 2013

Ustaad (Sachi Kahani









Read more ...

Hasad (Sabaq Amooz Kahani











Read more ...

Na Qably Yaqeen








Read more ...

Wednesday, 5 June 2013

Mashrobaat (Sharbat) Pr Daam Karna



Sawal: Tamam masail ke hal quran wa ahadees se chaiyye. Aik kitaab nazar se guzre jis me ye hadees mubarka the, Tarjumma: Abu saeed khadree (R.A) farmaty he: Nabi pak Sallahu alaihe wassalim ne peeny ke jis me phonk marny se mana farmaya he (Tirmazi). Ab masla ye he ke pani pr koi ayaat pharh kr dam karny ke lye phonk mary jaty he, is trha se paani pr phonk marna ur woh pani pena jaiz he ya nhi?

Jawab: Pani pr dam karny ke mumaniyat nhi sans leny ke muniyat he (Wallahu Alam)
Read more ...

Computer Ur Internet Pr Kam Karny Ka Hukum



Sawal: Me computer ke shube se munsalik hu ur mere zamedari internet ke sath he is me hr kism ke program hoty he, kya shary hesiyat se is kam ko karny ka hukum he?

Jawab: Computer jadeed dor ke aise technology he jis me mufeed ur muzeer dono kam kye ja skty he is lye is ko istemal karny ke ijazat he, albata is me khoshish ke jai ke ju kam bore he un se bacha jai, is shuby se munsalik hony me koi masla nhi, balke khoshish karny chaiyye ke internet pr zada se zada islami taleemat ko aam kya jai ur is ko kafru ke lye azad na chora jai.
Read more ...

Gatar Ke Dhakan Ke Neechy Akhbar Lagana



Sawal: Karporeshan gatar ke dhakan semant ke banwa kr lgaty he, jabke semant ke dhakna ke neeche ke trf akhbar lga hota he us ko htana bhe na mumkin hota he in akhbaru me aksr Allah pak ka name ur ayaat bhe hotty he (Nauzubillah). Kya ye be adbi nhi? in gatar ke dhakanu ke uppr hoty rakh kr chalna jaiz he?

Jawab: Aise akhbar jin ke uppr Allah ya Allah ke rasoolu ke name ya ayat likhe ho un akhbar ka istemal kisi bhe sorat jaiz nhi.
Read more ...

Masjid Se Quran Ghr Le Jany Ka Hukum



Sawal: Hamare masjid me 700 quran he, pharny wale yomiya sirf 13 admi hoty he, ramzan me log nai quran la kr dety he rakhny ke jga nhi hoty laheza pechle saal ke quran bore me daal dety he take samandar me dal dya jai. Hr masjid me kam wa beesh yhi hall he. Quran zarorat se zaid he jin ko bore me dalny ke bajai agr logo ke gahru me taqseem kardye jai to log mana karty he ke masjid ka maal ap gahru me taqsem kyun karty he? sawal ye he ke kya hm quran masjid se utha kr logo me taqseem kar skty he take bore me dalny ur zaya huny se bach jai jabke ye quran mukammal mehfooz hoty he.

Jawab: Ju quran-e-majeed masjid ke zarorat se zaid he bahir choty dehato me bhejwa dye jai jhan quran majeed ke kami hoty he.

Read more ...