Wednesday, 22 May 2013

Deen-e-Shareeyat Ke Bunyad


Sab se pehle ye samjhe lena chaiyye ke deen-e-islam ur islami shareeait ke bunyad Rasool akram (P.B.U.H) ke taleem wa hidayat pr he. Yani Allah pak ke taraf se ju uloom wa ahkam Huzu pak (P.B.U.H) lai, ju quran wa ahadees me mehfooz he, wohi deen-e-islam ke asas ur bunyad he.

2 Bunyadi Hissy (Ahteeqad ur Amal)

  • Ahteeqad

In me se kuch ka rabta ahteeqad se he ur kuch ka amal se he. Muraad ye he ke Ap Huzur pak (P.B.U.H) ke lai huwe hidayat me se aik hissa to woh he jis me kuch aise haqaiq ka btaya gya he jinhe hm az khud nhi jan skty ur hamy ye hukum he ke in haqaiq ko many ur in pr eman lai. Ye islam ka emani ur ahteqady hissa he ju bunyadi ahmiyat rakhta he.

  • Aamal

Dusra woh hissa he jis me amly zindagi ke bary me ahkaam he ke ye kam karu ur ye na karu. Ye islam ka amly hissa he. Is me buht se classes he, maslan (Deen ke dawat wa nusraat, Ibadaat,, Ikhlaaq wa adaab, Siyasat wa hakumat etc). Islam in sb pr hawy he ur ye sb iske shakhy he.

Aqly asbaaq me in sb shakhu ke bare me detail se btaya jai ga, umeed he ke aj ka ye sabad apko pasand aya hu ga, Ijazat chahta hu (Allah Neghban)






No comments:

Post a Comment