Sawalat Wa Jawabat!
Sawal: Ye kitaab ju tum parh rhe hu, kis fun me he ye?
Jawab: Fun Tareekh me.
Sawal: Tareekh kis ko khty he?
Jawab: Tareekh is ilm ka naam he ju guzre huwe ur mujuda logo ke halat batai.
Sawal: Ilm tareekh kis ke lye mufeed he?
Jawab: Hr samjhedar ke lye.
Sawal: Tareekh ka maqsad ur faida kya he?
Jawab: Ju halat me mujood zamany me paish arhe he, inku guzre huwe zamany ke haltu se mila kr natija nikalna ur is pr amal karna.
Sawal: Is ke misal peesh karu?
Jawab: Maslan kisi zamany me awam badshah ke mukhaleef he ur farz karu ke mukhalfat ke wja ye he ke badshah zulm karta he to ye dekhna ke jab badshah ne zulm kya to awaam ne kis trha muqabla kya ur phr natija kya nikla.
Sawal: Is ghoor-o-fikr karny se badshah ur awaam ko kya faida hasil hu ga?
Jawab: Badshah ko ye faida hu ga ke woh samjhe jai ga ke zulm ka natija kya huta he. Agr woh natija badshah ka tabahy he to woh zulm chor kr awaam ko khosh karny ke koshish kare ga. Ur awaam ke lye ye faida hu ga ke woh guzishta halat se apne lye jang ka rasta maloom karly ge, masaib pr sabir ur mustaqil rhe ge ju is ke lye kamiyabi ke kunji he.
No comments:
Post a Comment