Thursday 23 May 2013

Pukhta Emaan



Deen ur shareeait ke khas istilah me emaan isi khty he ke Allah ke rasool ko AAllah ka rasool tasleem kya jai ur yaqeen rakha jai ke Allah tallah hamare hidayat ke lye wahi ke zarriye buht se woh baty btata he ju hm apne hawas-e-khamsa yani (Ankh, Kan etc)  ur ilmi tariqee se maloom nhi kar skty. Isi bina pr unke sb bato ke tasdeeq ke jai ju woh Allah tallah ke taraf se pohchahty he, In pr yaqeen kya jai ur inke lai huwe deen ko deen-e-haq ke hasiyat se tasleem kya jai.

Tamam Emaaniyat Ka Aqrar Zaruri He!


Kisi admi ke momin hony ke lye ye zaruri he ke woh in sab bato ko haq many jin ke itlah Allah ke rasool (P.B.U.H) ne de he. Agr kisi ne in me se kisi aik cheez ka bhe inkar kya to woh momin nhi hu skta.

Maslan agr koi shakhs khe ke me Rasool pak (P.B.U.H) ko Allah ka rasool bhe manta hu ur ap Huzur (P.B.U.H) ne Allah ke tuheed ur iske sifaat ke bary me kuch btaya he use bhe haq manta hu, lekin qiyamat, jannat ur dosekh ke bary me ju baty ap Huzur (P.B.U.H) ne batai he (Ju hm quran wa ahadess me parhty he) unhe mere aqal qabool nhi karty, laheeza me inhe tasleem nhi karta to aisa shakhs momin nhi hu skta.

Aqaid wa emaaniyat!


Is bat ka maloom huna bhe zaruri he ke jin batu pr emaan lany ur ahtiqad rakhny ka hm se mutalba kya gya he, un me se kuch ka rabta to Allah tallah ke zaat wa sifaat se he ur kuch ka rabta dusry cheezu maslan (Rasoolu, Malaiqa ur Qiyamat) se he.













No comments:

Post a Comment