Wednesday 29 May 2013

Ghulaam Ka Jawab



Bhai mujhe thora sa shehd de dy mujhe shadeed zarorat he mujhe aik marz lahaq he is ka ilaj shehad se mumkin he.
Afosos mere pass is waqr shehad nhi he, wese apko shehad mil skta he lekin us k lye apko kuch door jana pare ga. Mulk sham se aik buht bare tajir ka aik buht bara qafla arha he, Tajir buht ache insan he mujhe umeed he ke woh apke zarorat ke lye apko shehad zarorr de ge.

Zarorat mand ne unka shukiriya ada kya ur shehr se bahir nikal aya take qafla wha pohchy to takir se shehad ke darkhuwast kare

Akhir qafla ata nazar aya. Woh forun utha ur us qafle ke nazdeek pohonch gya. Is qafle ke ameer ke bare me pocha logo ne aik khubsurat ur baronaq chehre wale shakhs ke taraf ishara kya, ab woh unke khedmat me hazer huwa ur bola:
Hazrat me aik marz me mubtla hu mujhe us marz ke ilaj ke lye mujhe thore se shehad ke zarorat he. Unhu ne forun apne ghulam se farmaya: Jis oont pr 2 shehad ke matky rakhe huwe he un me se aik matka bhai ko de dy.

Ghulam ne ye sun kr kha: Aqa agr aik matka ise de dya to oont pr wazan brabr nhi rhe ga,

Ye sun kr unhu ne farmaya: To dusra bhe inhe de du

Ghulam ne farmya: Aqa ye itna wazan kese uthai ga

To malik ne farmya: To oonth bhe ise de du, ghulam bhagta huwa oont ke pass gya ur akr rassy us bandy ke hath me pakra kr chala gya.

Woh heran bhe tha ur dil me bethasaha us bandy ka shuker guzaar bhe tha. Woh soch rha tha ye shakhs kitna sakhi he mene is se thora sa shehad manga us ne mujhe 2 matky shehad ke de dye ur oonth bhe de dya jis pr matky lady huwe the.

Udhr ghulam apne aqaa ke khedmat me hazir huwa to  aqaa ne ghulam se kha: Jab mene tum se kha use aik matka de du to tum nhi gye, jab mene tumhe kha ke dusra matka bhe use de du to tb bhe tum nhi gye, lekin jab mene tumhe oonth ka kha to tum dorty huwe gye, is ke kya wja the?

Gulam ne farmaya: Aqaa jab mene ye farmaya ke aik matka dene se oonth pr wazan brabr nhi rhe ga to apn dusra matka dene ka bhe hukum farmaya, jab mene ye kha ke woh 2 matky kese uthai ga to apne farmya oonth bhe use de du, tb me dra ke agr ab mene kuch kha to phr ap mujhe bhe us ke sath jany ka khe ge to tb mene door lga de.

Is pr aqaa ne farmya: Agr tum is ke sath chale jaty to ur acha huta tumhe azaadi mil jaty?

Ghulam ne kha: Aqaa me azaadi nhi chahta is lye ke apko to mujhe jese hazaru lakhu ghulam mil jai ge lekin mujhe ap jesa aqaa nhi mile ga, me apke ghulami ko azaadi se zada pasand karta hu.

Apko pta he ye (Aqaa) kon the ye aqaa (Hazrat Usman RaziAllahu Tallanha) the


No comments:

Post a Comment