Thursday, 30 May 2013

Roze ke masail (Roza kisy khty he, Roze Ke Niyyat Ka Matlab, Rat Se Niyyat Kanry Ka Masla, Roze Ke Rooh Ur Haqiqat:)

Roza kisy khty he:

Shareeyat me jab se fajar ke namaz ka waqt ata he is waqt se suraj dubny tk roze ke niyyat se sb khana pena ur jaiz khowaishat chor deny ka naam roza he.

Note: Sehri wa aftari ke auqaat ke auqaat ke bary me ajkl ju mukhtalif companies apne mashory ke lye sehry wa aftari ke card chappwaty he un pr ahtimad na kya jai kyun ke woh aksr ghalat hoty he isi trha hr azaan ur ailanat ka bhe dehan rakha jai.

Roze Ke Niyyat Ka Matlab:

Niyyat ka zoban se khna to bhtr he mgr zarori nhi dil me irada hu to kafi he ur sehri khana waghera niyyat he khlata he.

Rat Se Niyyat Kanry Ka Masla:

Niyyat agr subah sadiq se pehly na ke ur subah hu gye mgr kuch khaya peya nhi to bhe shary din ka adha hissa guzarny se pehly niyyat karlyne se roza durust hu jai ga ur woh is trha pta chale ga ke pehly ye dekhe lya jai ke subah sadiq kitne baje huwe he ur ghoroob kitne bajy huta he. Inke darmiyan ke ghanto ko shameel karke iska adha le lya jai woh sharhy adha din he ju (zawal se sawa ya deedh ghanty) pehly huta he. Is se pehly pehly niyyat kar skty he.

Roze Ke Rooh Ur Haqiqat:

Roze ke rooh ur haqiqat ye he ke ankh, kaan, zuban ur pore jism ko haram batu ur kamu se mehfooz rakha jai, apne apko halal se bachai ur haram se na bachai to ye kesa roza huwa. To is bat ka lazmi khayal rkha jai.


























9 comments:

  1. mashAllah nice post thanks for informative us

    ReplyDelete
  2. JazakAllah dear, keep visiting then you can get more & more informations

    ReplyDelete
  3. Keep promoting of this article, great is

    ReplyDelete
  4. Good work bro :)
    MashAllah :)

    ReplyDelete
  5. Keep it up Allah ap ko jaza day is naik kam ki

    ReplyDelete
  6. JazakAllah dear Waleed, keep visiting!

    ReplyDelete
  7. Superb post, Thanks admin and create it a new one for us...!!

    ReplyDelete
  8. JazakAllah dear, Yes InshAllah will come a lot's of post for you, but daily keep visiting

    ReplyDelete