Namaz-e-taraweeh ka pora biyan
Sawal: Namaz-e-taraweeh sunnat he ya nafil?
Jawab: Namaz-e-taraweeh mardu ur ourat dunu ke lye sunnat-e-muakkida he ur jamaat ke sath parna sunnat-e-kafaya he yani agr muhally ke masjid me namaz-e-taraweeh jamaat se parhy jai ur koi shakhs ghr me akela parh le to gunahgar nhi hu ga lekin agr tamam muhally waly jamaat se na parhy to sab gunahgar hun ge.
Sawal: Namaz-e-taraweeh ka waqt kya he?
Jawab: Namaz-e-taraweeh ka waqt namaz-e-isha se namaz-e-fajar tk he, namaz-e-witr se pehly ur bad me bhe is ka waqt he, lekin namaz-e-taraweeh ke namaz witr se pehly parhny chaiyye. Hmm agr kisi shakhs ke taraweeh ke kuch rakaty reh gye hu ur imam witr parhny lagy to ye shakhs imam ke sath witr me shamil hu jai ur witr ke bad apne bqya taraweeh ke rakat pore karly to jaiz he.
Sawal: Namaz taraweeh ke rakaty, inke tadad ur kefiyat kitne he?
Jawab: 20 rakaty 10 salamu ke sath masnoon hain, yani 2 rakatu ke niyyat kare ur har 4 rakat ke bad thore deer aram karlena mustahib he.
Sawal: Jitne deer aram karna he to khamosh rahain ya kuch pah lain?
Jawab: Ikhtiyar he yani marzi he khamosh rahain ya ahista ahista quran majeed parh le tasbeeh parh le ya akely akely namaz-e-nafil parh lain
Sawal: Namaz-e-taraweeh me quran majeed khattam karna kesa he?
Jawab: Pore mahine me 1 martaba quran majeed khattam karna sunnat he ur 2 martaba khattam karna afzal he ur 3 martaba khattam karna is se zada afzal he. Lekin 2 ur 3 martaba khattam karny ke fazliyat us waqt he sunny walo ko sunny me koi dushwary ka samna na karna pare, Hmm 1 martaba khattam karny me logo ke susty ka lehaz na kya jai.
Sawal: Namaz-e-taraweeh beth kar parhna kesa he?
Jawab: Agr koi insan khary hony ke taqat rakhty huwe bhe beth kar namaz-e-taraweeh parhta he to ye makruh he, hm agr koi uzr he to phr parh skta he beth kar.
Sawal: Shuru rakat se namaz-e-taraweeh me shamil hona chaiyye?
Jawab: Shuru rakat se shamil hona chaiyye, bech me shamil hona makrooh he.
Sawal: Agr koi farz namaz ke jamat se reh gya he to pehly woh farz namaz parh kr jamaat me shamil ho skta he?
Jawab: Jaiz he, pehly woh farz namaz parh le us ke bad taraweeh ke jamaat me shamil hu jai.
Dear Admin!! very helpful post for peoples MashAllah
ReplyDeleteNice post
ReplyDelete@Ateeb Dear JazakAllah, InshAllah will come more good posts, keep daily visitings!
ReplyDelete@Ejaz Sir JazakAllah for comment, Keep visiting
ReplyDeleteDear Admin!! very helpful post for peoples. I am visited this blog on many time kindly write more about Download Free Taraweeh Mobile Application , Quran taraweeh Mobile Application and Download free Complete Quran Mobile Application
ReplyDeleteGreat article and with a relevant information. kindly write more about Download Free Taraweeh Mobile Application , Quran taraweeh Mobile Application and Download free Complete Quran Mobile Application
ReplyDeletegreat information shared.Jazak Allah
ReplyDelete