Roze Ki Niyyat Ka Biyan
Sawal: Kya rozy ke lye niyyat karna zaruri he?
Jawab: Ji rozy ke lye niyyat karna lazmi he. Agr subah sadiq se le kr suraj doobny tk khany peeny ke cheezun se bacha rha lekin roze ke niyyat nhi the to roza nhi hu ga.
Sawal: Niyyat kis waqt karny chaiyye?
Jawab: Ramzan shareeef, nazr-e-muhayyan, sunnat ur nafil rozon ki niyyat raaat se karain ya suah ko adhe din se pehly pehly jaiz he. Din se murad shary din he ju subah sadiq se ghroob aftab tk ka naam he. maslan agr subah 4 bajy subah sadiq hu ur 6 bajy ghroob aftab hu to shary din 14 ghanty ka huwa ur adha din 11 bajy ka huwa to 11 bajy se pehly pehly niyyat karlena zaruri he.
ur Qazai ramzan ur nazr-e-muhayyan ke niyyat subah sadiq se pehly karlena zaruri he.
Sawal: Niyyat kis trha karny chaiyye?
Jawab: Ramzan shareef, nazr-e-muhayyan, sunnat ur nafil rozon ke niyyat me to chahy khas un rozon ka qasad kary ya sirf ye irada karly ke roza rakhta hun ya nafil roze ke niyyat kary. Har surat ramzan me ramzan ka roza ur nazr-e-muhayyan ke din nazr ka roza ur baqi dinu main sunnat ya nafil ka roza hu jai ga, nazr-e-gheer muhayyan ur kuffarun ka ur qazai ramzan ke niyyat main khas un rozon ka qasad karna zaruri he.
Sawal: Niyyat zuban se karna zaruri he ya nahin?
Jawab: Niyyat qasad ur irada karny ko khty hain. Dil se irada karlena kafy he, zuban se khe dy to behter he na khny me koi masla nahin.
Thanks for posting nice info brother,
ReplyDeleteNiyyat k barey mein jo doubt tha wo door ho gaya..
Best Wishes
Very Nice Islamic Knowledge..!! Keep it Up Admin...!!
ReplyDelete@Afzal Randhawa
ReplyDeleteAcha MashAllah! Prayer for this network, keep visiting & sharing