Friday 5 July 2013

Jumme Ki Din Ke Sunnatain


Jumme Ki Din Ke Sunnatain
  • Acha libas

  • Ghusal

  • Khushbu

  • Miswak

  • Surma

  • Surah-e-Kahaf ki Tilawat

Acha Libaas:

Huzur pak (S.A.W) mafhoom h k jumme k din acha sa acha libas pehnu jese k tum kisi k ham jaty waqt zeeb tan karty hu ya kisi khas din per phenty hu jese k Shadi biyan k waqt, Kisi k dawat per jaty waqt, Kisi khas din k munasbat se zeb tan karty hu kabry ko isi trhan is din ko bhe khas samajhe kar guzara karu, is se Allah pak buht khush huty hain jis se dugna ajar milta h ur insan k  namai amaal main woh ajar likhe dya jata h.

Ghusal:

Huzur pak (S.A.W)  ka mafhoom-e-pak h k jumme k din khususy tor per  ghusal ke amal se faizyab hu, kyun k agr tum aam din main ghusal nhi karty to is din ko poree ahmiat dety huwe apne jism ko ache tariqe se paak saaf karlu, is trhan paak saaf karny k khushesh karu k jo tariqa kar hamare nabi pak (S.A.W) ne hum sub ko btaya h.

Khushbu:


Mere Nabi pak (S.A.W) ka irshad h k jumme k din khushbu ka ahtimam karu yani jab tum jumme k lye new kapry pehn kar ghar se niklu to apne kapru ko khuhbudar karlo ur isi trhan namaz-e-jumme k lye nikal jau, ur insan ko apne zindagi ain bhe khushbu ka istimal karna chaiyye bajai perfumes k istimal k, aik to perfumes main zehreli gasses huty hain ju jism per asar andaz hu skty hain.

Miswak:

Huzur pak (S.A.W) ka irshad-e-bari h k jumme k din khushy apne moo ko paak saaf rakhny k lye miswak ka khas istimal karu, kyun k ye apke moo k badbu ko khattam karty h apke andr ke bimariyun ko jar se khattam karty h, apko tandrust zindagi ata karty h, ur apke zindagi main sakun peda karty h, miswak karny se ap aik sunnat ko bhe zinda kart hain. Isi lye hamain khush karny chaiyye k dusre manjan ya creams ko istimal kanry k bajai isko ahmiat dain ur ajr hasil karain. ur miswak ko hum roz marra k zindagi main bhe isko istimal karny k khushesh karain.

Surma:


Huzur pak (S.A.W) ne farmya k jumme k din jab tum namaz k tayari karlu to namaz-e-jumma k lye jaty waqt surma ka istimal apne ankhu main karu, kyun surma k istimal se ankhu k roshny teez hoty h, Sunnat rasool (S.A.W) bhe zinda huty h, Ur Allah pak bhe is amal se khush huty hain.

Surah-e-Kahaf Ki Telawat:

Kha jata h k jumme k namaz k bad surah-e-kahaf k tilawat ka mamol bnaya jai, kyun k zaman-e-dijjal main ye apko is fitne se bachai gy, Ur wese bhe is surahk buht se fazail hain, Is surah ka ahtimam hamain her jumme main rakhna chaiye, Allah pak apko ajar se nawazain gy.zsd



2 comments:

  1. good post yar zara dijjal pe b aik post bna do

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Dear thanks for visitinf & wishing, InshAllah i will make a post about your opinion

      Delete