Sawal: Ap Hauzur (P.B.U.H) kha peda huwe? ur kha ke rehny wale the?
Jawab: Makka Muazzma me ap Huzur pak (P.B.U.H) peda huwe ur yhi shehr apka watan pak tha.
Sawal: Makka kha he?
Jawab: Mulk arab me.
Sawal: Arab kha he is ke simt ur khususiyat biyna karu?
Jawab: Arab aik mul he, hm se buht door pacham ke trf jha haji haj karny jaya karty he. Is mulk me rateely meedan buht kasrat se he. Isi trha bakriyaa ur oonth bhe buht he. Pehly zamany me ye log oon se kapry ur kambal bnaya karty the. Ur isi trha oon ur chamry se khemy yani (rehny) ke jga bna lya karty the.
Sawal: Makka ur kaba me kya farq he?
Jawab: Makka to shehr ka naam he ur is shehr me aik jga he jisko kaba khty he, woh kothry ke trha bany huwe he taqreeban bara pandra gaz lambi chory isi ko (Betullah) khty he. Ur isi ke trf moo karke hm namaz parhty he, ur isi ke gird saat dafa gumne ka naam tawaf he, ur isi ke girda gird char dewary me gehra huwa buht bara sehan he ke jis ko masjid-e-haram khty he.
Sawal: Makkah ko kis ne abad kya? ur is me kon log rehty he?
Jawab: Makkah ke sar zameen me sb se pehly Hazrat Ibraheem Allai hissalam ne apne biwi Hajra ur bare bete Hazrat Ismail Allai hissalam ko bsaya. Phr Hazrat Ismail Allai hissalam ke aulad wohi reh pare. Ur Hazrat Hajra ke zamany he me "Qabila banu jarhum" ke kuch aadmi bhe aakr is sar zameen me rehny lagy the. Gharz Makkah ke zada tr rehny wale inhe ke aulaad me se the.
Bannu Jarhum kha rha karty the?
Jawab:Isi elaqe ke qareeb jha ajkl Makkah shareef abad he.
Sawal: Khana Kaba kis ne banaya tha?
Jawab: Sb se pehly to Hazrat Adam Allai hissalam ne banaya tha, mgr woh munahdum hu gya tha is ka naam winshan bhe baqi nhi rha tha. Phr khas isi jga Hazrat Ibraheem Allai hissalam ur Hazrat Ismail Allai hissalam ne khuda tallah ke hukum se khuda ka ghr khuda ke ibadat karny ke lye banaya tha.
assalamo alikum
ReplyDeleteWalykum Asalam
ReplyDelete