Deeen ke woh emaani ur ahteqaadi hissy jin ka rabta Allah tallah se he, kyun ke mqsad ke hesiyat se yhi hissa sb se zada ahm he.
Allah Tallah Ke Hasty
Is silsaly me sb se pehly bat ye he ke Allah tallah ke hasty ko mana jai yani is bat pr yaqeen kya jai ke is sari kainat ko peda karny waly ur dunya ke is karkhany ko chalany wale aik hasty he ur woh Allah tallah ke zaat he.
Allah Tallah Ka Wajood Aik Muslima Haqiqat He
Yha ye bat bhe samjhe lene chaiyye e tareekh ur dunya ke mazhabi kitabu se maloom huta he ke Allah tallah ke hasty ka aqaida dunya ke qoomo me hamesha se rha he. Matlab ye ke itne bat hr zmany ur tamam aqwam me many jaty rhe he ke is dunya ka koi na koi peda karny wala he ur woh bare taqtu wala he. Ghalbun yhe waja he ke Quran majeed me mukhtalif zamanu ur mukhtalif qoomo me any wale jin peghambaru ka zikr kya gya he, unke taleem ur dawat ke silsaly me biyan toheed wagheera ka zikr to bary wazahat ke sath ata he lekin is bat ka sahi tor pr pta nhi chalta ke unhu ne Allah tallah ke hasty ka wajood manwany pr koi khas zoor deny ke zarourat samjhe the ya nhi.
hud Quran majeed ka bhe yhi tarz-e-byan he ke Allah tallah ke tuheed ur is ke seefat ke biyan se to bahra huwa he mgr Allah tallah ke hasty ur iska wajood manwany pr is me itna zoor nhi dya gya. Is ke wja ye he ke sari insani dunya ka ye muslima usool rha he ke jab tk ke insanu ke fitrat bilkul masakh na hu jai us waqt tk kainat ke peda karny wale ke hasty ke wajood ka maslaunke lye aisa he fitry ur badehy he jesa apne wajood ur zaat ka masla fitry ur badeehy he.
Yhi wja he ke hr zamany me bhe (Jese dehriyat ka zamana kha jata he) in maghrabi mumalik me ju dehriyat ka sar chachma samjhe jaty he Allah tallah ke wajood ka inkar karny walo ke tadad Allah tallah ke wajood manny walo ke taadad me atty me namak se zada nhi he. Hatta ke Russia ju khuda dushmani ur alhad ka markaz samjha jata he wha bhe Allah tallah ke munkareen, Allah tallah ke manny walo ke nisbat aqliyat me he.
No comments:
Post a Comment